jañg meñ parvar-digār-e-shab kā kyā qissā huā
lashkar-e-shab sub.h kī sarhad pe kyuuñ paspā huā
ik ajab sī pyaas maujoñ meñ sadā detī huī
maiñ samundar apnī hī dahlīz par bikhrā huā
kachchī dīvāreñ sadā-noshī meñ kitnī taaq thiiñ
pattharoñ meñ chīḳh kar dekhā to andāzā huā
kyā sadāoñ ko salīb-e-ḳhāmushī de dī ga.ī
yā junūñ ke ḳhvāb kī tābīr sannāTā huā
rafta rafta mausamoñ ke rañg yuuñ bikhre ki bas
hai mire andar koī zinda magar TuuTā huā
sabz hāthoñ kī lakīreñ zard māthe kī shikan
aur kyā detā mirī taqdīr kā likkhā huā