kohsār-e-taġhāful ko sadā kaaT rahī hai
hairāñ huuñ ki patthar ko havā kaaT rahī hai
peshāni-e-sāhil pe koī naam na ubhre
har mauj samundar kā likhā kaaT rahī hai
alfāz kī dhartī pe huuñ mafhūm-gazīda
ab jism pe kāġhaz kī qabā kaaT rahī hai
har ruuh pas-e-parda-e-tartīb-e-anāsir
nā-karda gunāhoñ kī sazā kaaT rahī hai
fankār kā ḳhuuñ dāman-e-taḳhlīq pe goyā
tasvīr musavvir kā galā kaaT rahī hai
mahjūb haiñ maġhrūr daraḳhtoñ kī qatāreñ
har shāḳh ko shamshīr-e-anā kaaT rahī hai