jāda-e-zīst meñ tanvīr-e-sahar aane tak
ḳhvāb bunte raho tābīr nazar aane tak
lauT bhī aayā to sadiyoñ kī thakan lā.egā
sub.h kā bhūlā huā shaam ko ghar aane tak
zindagī pyaas se mānūs na ho jaa.e kahīñ
vaqt ke dasht meñ ik lamha-e-tar aane tak
zulmateñ chhīn na leñ ham se muqaddas chehre
sham-e-maslūb tire shola-ba-sar aane tak
ham gunāhoñ ke pujārī bhī to ban sakte haiñ
hāsil-e-jazba-e-taqdīs nazar aane tak
sub.h kī dhuup dhundhalkoñ meñ badal jaatī hai
shāḳh-e-iflās pe zartāb samar aane tak
chashm-e-be-ḳhvāb kī sūrat hai samundar meñ sadaf
abr-e-nīsāñ se koī shola-e-tar aane tak