bujhe bujhe se sharāre haiñ zard shāḳhoñ par
sajā gayā hai koī apnā dard shāḳhoñ par
safīr-e-shab kā koī ashk DhūñDte hoñge
havā ke jalte hue hoñT sard shāḳhoñ par
ayaañ hai rañg-e-taġhazzul guloñ ke chehroñ se
bayāz-e-rañg nahīñ fard fard shāḳhoñ par
lapeTe nuur kī chādar meñ dard ke saa.e
bhaTak rahā hai koī shab-navard shāḳhoñ par
havā kī god meñ mauj-e-sarāb bhī hogī
gireñge phuul to Thahregī gard shāḳhoñ par
piye hue haiñ shajar intihā-e-karb kā sam
ki hai numūd-e-gul-e-lā-javard shāḳhoñ par
urūs-e-bū-e-bahārāñ ne kyā sharārat kī
ki haiñ safīr-e-sabā ḳhud-nabard shāḳhoñ par
vo ik uḌaan meñ shohrat kā āsmāñ Thahrā
simaT ke rah ga.e bātoñ ke mard shāḳhoñ par