kuchh to sachchā.ī ke shahkār nazar meñ aate
kaash ham log na ḳhvāboñ ke asar meñ aate
ham ne is ḳhauf se ḳhākoñ ko mukammal na kiyā
shaam ke rañg bhī tasvīr-e-sahar meñ aate
jab ki har rauzan-e-dīvār namak-dāñ Thahrā
kaise majrūh ujāle mire ghar meñ aate
so.e-panghaT pe jamī barf pighal saktī thī
pyāse sūraj to kabhī mere nagar meñ aate
ajnabiyat ke darīchoñ meñ khulī thiiñ āñkheñ
kis ke saa.e mire ḳhvāboñ ke khañDar meñ aate