samand-e-ḳhvāb vahāñ chhoḌ kar ravāna huā
jahāñ surāġh-e-safar koī naqsh-e-pā na huā
ajiib aag lagā kar koī ravāna huā
mire makān ko jalte hue zamāna huā
maiñ thā kahāñ kā musavvir ki pūjtī duniyā
bahut huā to mirā ghar nigār-ḳhāna huā
ugaao dard kī fasleñ ki zindagī jaage
lahū kī fasl ugāte hue zamāna huā
maiñ ā.īna huuñ har ik sāhib-e-nazar ke liye
magar ḳhud apne hī chehre se āshnā na huā
bikhar ga.ī thī sar-e-rāh zindagī lekin
qadam ruke to mirā farz tāziyāna huā