ulfatoñ kā ḳhudā nahīñ huuñ maiñ
ranj-o-ġham se judā nahīñ huuñ maiñ
ek arsa huā ga.e us ko
ab to us kā patā nahīñ huuñ maiñ
kalyugī soch se huuñ pardūshit
koī taaza havā nahīñ huuñ maiñ
ḳharchoñ ke bojh ne kamar toḌī
shauq se kui jhukā nahīñ huuñ maiñ
bevafā bā-vafā nahīñ hogā
ishq kī kīmiyā nahīñ huuñ maiñ
chand sikke haiñ logoñ kī qīmat
shukr hai ki bikā nahīñ huuñ maiñ
dharm aur zaat kī jakaḌ aisī
par to haiñ par uḌā nahīñ huuñ maiñ