Jamuna Parsad Rahi

dayar-e-sang mein rah kar bhi shishagar tha main

Jamuna Parsad Rahi

dayār-e-sañg meñ rah kar bhī shīshagar thā maiñ
zamāna chīḳh rahā thā ki be-ḳhabar thā maiñ
lagī thī aañkh to maryam kī god kā thā gumāñ
khulī jab aañkh to dekhā salīb par thā maiñ
amaañ kise thī mire saa.e meñ jo ruktā koī
ḳhud apnī aag meñ jaltā huā shajar thā maiñ
tamām umr na laḌne kā ġham rahā mujh ko
ajab mahāz pe haarā huā zafar thā maiñ
havā-e-vaqt ne patthar banā diyā varna
lachaktī shāḳh se TuuTā huā samar thā maiñ
tamām shahr meñ jañgal kī aag ho jaise
havā ke dosh pe uḌtī huī ḳhabar thā maiñ
Top Urdushayar.com