Dūbne vaalā hī thā sāhil barāmad kar liyā
us ne bil-āḳhir hamārā dil barāmad kar liyā
vo badan kī bhiik dene par huā raazī to maiñ
apnī ḳhush-hālī meñ ik saa.il barāmad kar liyā
ham talāsh-e-haq meñ nikle aur sharminda hue
us ne ā.īne se bhī bātil barāmad kar liyā
ishq ke munkir the ham to ye jahāñ nāpaid thā
jab hue isbāt par maa.il barāmad kar liyā
aag ke dariyā meñ kar ke raqs jab ham thak ga.e
raakh ke ik Dher se sāhil barāmad kar liyā
kaun kahtā hai ki ham ma.asūm buzdil log haiñ
us ne to har ghar se ik qātil barāmad kar liyā