Nomaan Shauque

aise mile nasib se sare KHuda ki bas

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
aise mile nasīb se saare ḳhudā ki bas
maiñ bandagī ke zo.am meñ chillā uThā ki bas
ik khel ne hamārā muqaddar badal diyā
vo to hameñ pukār kar aisā chhupā ki bas
pahle to ik nashe ko kiyā sar pe ḳhud savār
phir yuuñ kisī ḳhayāl se jī haT gayā ki bas
jannat milegī us ne kahā mominīn ko
jalte hue makān se aa.ī sadā ki bas
naġhma samajh ke shor se mahzūz hotī bhiiḌ
amboh-e-bekarāñ meñ koī chīḳhtā ki bas
Top Urdushayar.com