haiñ lāpata zamāne se saare ke saare ḳhvāb
kis ke badan se lipTe hue haiñ hamāre ḳhvāb
maiñ shaam kī balā.eñ luuñ yā bosa sub.h kā
bikhre paḌe haiñ raat ke donoñ kināre ḳhvāb
tum chhat pe aate jaate rahoge isī tarah
to dekhne lageñge sabhī ke sitāre ḳhvāb
maanā sajā-sañvār ke bheje ga.e ho tum
ā.īne bhī to dekh rahe haiñ tumhāre ḳhvāb
apnī to saarī umr pas-o-pesh meñ kaTī
sau baar zeb-e-tan kiye sau baar utāre ḳhvāb
nazreñ bhī kyā guzārte ham boriyā-nashīñ
us ne bhī sarfarāz kiye sab guzāre ḳhvāb
mushkil ye aa paḌī hai ki kis des jā.eñge
ham tār-tār log liye itne saare ḳhvāb