na.e charāġh kī lau paañv se lipaTtī hai
magar vo raat kahāñ rāste se haTtī hai
maiñ ḳhānqāh-e-badan se udaas lauT aayā
yahāñ bhī chāhne vāloñ meñ ḳhaak baTtī hai
zarā sā sach bhī kisī se kahā nahīñ jaatā
zarā sī baat pe gardan hamārī kaTtī hai
ye kis ke paañv rakhe haiñ havā ke siine par
agar maiñ saañs bhī letā huuñ umr ghaTtī hai
abhī bahut haiñ andheroñ ko pūjne vaale
yahāñ charāġh bujhāo to raat kaTtī hai