sab apne apne ḳhudāoñ meñ jā ke baiTh ga.e
so ham bhī ḳhauf kī chādar bichhā ke baiTh ga.e
mujhe is aag kī tafsīl meñ nahīñ jaanā
jinheñ banānī thiiñ ḳhabreñ banā ke baiTh ga.e
kabūtaroñ meñ ye dahshat kahāñ se dar aa.ī
ki masjidoñ se bhī kuchh duur jā ke baiTh ga.e
hamārā qahr hamārī hī jaan par TuuTā
tamām ḳhaak badan kī uḌā ke baiTh ga.e
kal āftāb ko is tarah Dūbte dekhā
ham apne jalte diyoñ ko bujhā ke baiTh ga.e
yahāñ bhī jhāñktī rahtī thiiñ shak-bharī nazreñ
so ham bhī ruuh pe qashqa lagā ke baiTh ga.e