barsoñ purāne zaḳhm ko be-kār kar diyā
ham ne tirā javāb bhī tayyār kar diyā
tauq-e-badan utaar ke pheñkā zamīñ se duur
duniyā ke saath chalne se inkār kar diyā
ḳhud hī dikhā.e ḳhvāb bhī tausī-e-shahr ke
jañgal ko ḳhud hī chīḳh ke hushiyār kar diyā
jamhūriyat ke biich phañsī aqaliyat thā dil
mauqa jise jidhar se milā vaar kar diyā
aa.e the kuchh sitāre tirī raushnī ke saath
ham apne hī nashe meñ the inkār kar diyā
vo niiñd thī ki maut mujhe kuchh pata nahīñ
gahre ghane sukūt ne bedār kar diyā
ham ā.īne ke sāmne aa.e to ro paḌe
us ne sajā-sañvār ke be-kār kar diyā