vo apne shahr-e-farāġhat se kam nikaltā hai
nikal bhī aa.e to fursat se kam nikaltā hai
maiñ ḳhānqāh ke bāhar khaḌā huuñ muddat se
yahāñ bhī kaam aqīdat se kam nikaltā hai
falak kī sair ke paiġhām aate rahte haiñ
badan hī ḳhaak kī dahshat se kam nikaltā hai
sambhal sambhal ke to chaltā hai vo sitāra bhī
tumhārī jaisī nazākat se kam nikaltā hai
maiñ nāptā huuñ to har baar raqba-e-aflāk
mirī nigāh kī vus.at se kam nikaltā hai
hamesha ishq ko hī mānñī paḌī hai haar
hamesha husn zarūrat se kam nikaltā hai
ye nafratoñ ko miTāne kī zid rahe baaqī
magar ye kaam mohabbat se kam nikaltā hai