jaane kis ummīd pe chhoḌ aa.e the ghar-bār log
nafratoñ kī shaam yaad aa.e purāne yaar log
vo to kahiye aap kī ḳhushbū ne pahchānā mujhe
itr kah kar jaane kyā kyā bechte attār log
pahle māñgīñ sar-bulandī kī duā.eñ ishq meñ
phir havas kī chākarī karne lage bīmār log
aap kī sāda-dilī se tañg aa jaatā huuñ maiñ
mere dil meñ rah chuke haiñ is qadar hushyār log
is javāñ-mardī ke sadqe jā.iye har baat par
sar kaTāne ke liye rahte haiñ ab tayyār log
phailtā hī jā rahā hai din-ba-din sahrā-e-ishq
ḳhaak uḌāte phir rahe haiñ sab ke sab bekār log
bādshāhat ho na ho lekin bharam qaa.em rahe
har ghaḌī ghere hue baiThe raheñ do-chār log