Nomaan Shauque

sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
saare chaqmāq-badan aayā thā tayyārī se
raushnī ḳhuub huī raat kī chiñgārī se
un daraḳhtoñ kī udāsī pe taras aatā hai
lakḌiyāñ rañg na duuñ aag kī pichkārī se
koī da.avā bhī nahīñ kartā masīhā.ī kā
ham bhī āzād hue jaate haiñ bīmārī se
muñh lagāyā hī nahīñ aslaha-sāzoñ ko kabhī
maiñ ne duniyā ko harāyā bhī to dildārī se
ishq bhī log numā.ish ke liye karte haiñ
kyā namāzeñ bhī paḌhī jaatī haiñ ayyārī se
saarā bāzār chalā aayā hai ghar meñ phir bhī
baaz aate haiñ kahāñ log ḳharīdārī se
āḳhirī niiñd se pahle kahāñ samjheñge ham
ḳhvāb se Darnā zarūrī hai ki bedārī se
husn jis chhāñv meñ baiThā thā vo qātil to na thī
jal ga.e jism nigāhoñ kī shajar-kārī se
kam-se-kam maiñ to murīd un kā nahīñ ho saktā
jo pas-e-raqs-e-junūñ baiThe haiñ hushyārī se
Top Urdushayar.com