masjidoñ meñ qatl hone kī rivāyat hai yahāñ
aur jise bhī dekhiye vo bā-jamā.at hai yahāñ
un ke sur meñ sur milā kar chīḳhtī ḳhilqat tamām
dekhiye ik jhuuT meñ bhī kitnī tāqat hai yahāñ
aur is daave kī ham tardīd kar sakte nahīñ
log kahte haiñ mohabbat hī mohabbat hai yahāñ
faisla ye bhī adālat ko hī karne dījiye
aap ko insāf kī kitnī zarūrat hai yahāñ
ham ye jañgal chhoḌne vaale nahīñ sun lījiye
bheḌiyoñ meñ ab bhī thoḌī ādmiyat hai yahāñ