Nomaan Shauque

maine bhi apne dhyan mein apna safar kiya

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
maiñ ne bhī apne dhyān meñ apnā safar kiyā
us ne bhī rāste ko zarā muḳhtasar kiyā
pūchho ki us ke zehn meñ naqsha bhī hai koī
jis ne bhare jahān ko zer-o-zabar kiyā
sab fāsle mirī hī ḳhatā the mujhe qubūl
lekin tirī sadā ne bhī kitnā safar kiyā
ik roz baḌh ke chuum liye maiñ ne us ke hoñT
apne tamām zahr ko yuuñ be-asar kiyā
vo vird kar rahā thā kisī aur naam kā
tāvīz ne marīz pe ulTā asar kiyā
mujh ko thī nā-pasand use shā.irī pasand
thak-hār ke ye aib bhī āḳhir hunar kiyā
Top Urdushayar.com