jo ghaav tum ne diyā thā vo ghaav zinda hai
abhī hañso na mirī jaan 'rāv' zinda hai
tumhārī dil se vahī khelne kī aadat hai
hamārā apnā vahī rakh-rakhāo zinda hai
abhī na soch mirī haar terī jiit huī
abhī to khel meñ antim paḌāv zinda hai
Dare Dare hue sahme hue añdhere haiñ
charāġh bujh to rahā hai dabāv zinda hai
hameñ yaqīn hai 'nāsir' nahīñ bhaTak sakte
abhī ġhazal se hamārā lagāv zinda hai