Nomaan Shauque

KHuda muaf kare zindagi banate hain

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
ḳhudā muaaf kare zindagī banāte haiñ
mire gunāh mujhe aadmī banāte haiñ
havas hai saare jahānoñ pe hukmarānī kī
vo sirf chāñd nahīñ raat bhī banāte haiñ
mire liye to muqaddas haiñ vo sahīfe bhī
jo raushnī ke liye raushnī banāte haiñ
na is hujūm meñ rakkho mujhe ḳhudā ke liye
jo sher kahte nahīñ shā.erī banāte haiñ
tabāh kar to duuñ zāhir-parast duniyā ko
ye ā.īne bhī mire log hī banāte haiñ
maiñ āsmān banātā huuñ merī baat karo
yahāñ to chāñd sitāre sabhī banāte haiñ
maiñ shukriya adā kartā huuñ sab raqīboñ kā
yahī añdhere mujhe raushnī banāte haiñ
Top Urdushayar.com