sitārā-sāz ye ham par karam farmāte rahte haiñ
añdherī raat meñ jugnū sā kuchh chamkāte rahte haiñ
sunā hai shor se hal hoñge saare mas.ale ik din
so ham āvāz ko āvāz se Takrāte rahte haiñ
jahāñ meñ amn kaise phailtā hai kaise phailegā
vo sab ko tiir se talvār se samjhāte rahte haiñ
ye kaisī bhiiḌ mere gird hai ghabrā gayā huuñ maiñ
tamāsha dekhne vaale to aate jaate rahte haiñ
baḌā dilchasp kārobār ab ke saal chal niklā
havas ke ā.īne ko ishq se chamkāte rahte haiñ
isī duniyā se dīvāreñ uThānā ham ne sīkhā hai
ham is duniyā ko har dīvār se Takrāte rahte haiñ