raat lambī thī sitāra mirā tājīl meñ thā
jis ko jalnā nahīñ aayā vahī qindīl meñ thā
ik jahāñ aur pas-e-kār-e-jahāñ thā baaqī
ik badan aur mire ishq kī takmīl meñ thā
phir siyāhī ne sameTā mirā sāmān aa kar
kul asāsa mirā ik shaam kī zambīl meñ thā
ek larza thā sitāroñ ke badan par taarī
maiñ to Duubā huā ik husn kī tafsīl meñ thā
ab to har chehra use zard dikhā.ī degā
der tak ā.īna bīmār kī tahvīl meñ thā
jo milā vo baḌī ujlat meñ milā thā mujh se
aur maiñ goyā hamesha se hī tātīl meñ thā