qā.ede bāzār ke is baar ulTe ho ga.e
aap to aa.e nahīñ par phuul mahñge ho ga.e
ek din donoñ ne apnī haar maanī ek saath
ek din jis se jhagaḌte the usī ke ho ga.e
mujh ko is husn-e-nazar kī daad milnī chāhiye
pahle se achchhe the jo kuchh aur achchhe ho ga.e
muddatoñ se ham ne koī ḳhvāb bhī dekhā nahīñ
muddatoñ ik shaḳhs ko jī bhar ke dekhe ho ga.e
bas tire aane kī ik afvāh kā aisā asar
kaise kaise log the bīmār achchhe ho ga.e