Nomaan Shauque

tabah KHud ko use la-zawal karte hain

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
tabāh ḳhud ko use lā-zavāl karte haiñ
hamāre log junūñ meñ kamāl karte haiñ
magar ye raaz faqat titliyāñ samajhtī haiñ
chamakte rañg bhī jiinā muhāl karte haiñ
kabhī kabhī to darindoñ pe pyaar aatā hai
tamām shahr kī yuuñ dekh-bhāl karte haiñ
ye kyā ki dil bhī dukhāne koī nahīñ aatā
chalo purāne marāsim bahāl karte haiñ
bulāo ḳhvāb-nagar meñ phir us sitāre ko
vahī karo jo sabhī ḳhush-ḳhayāl karte haiñ
kisī mazāq pe khul kar maiñ hañs nahīñ paatā
hañsī hañsī meñ vo jiinā muhāl karte haiñ
Top Urdushayar.com