Nomaan Shauque

aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
āsmānoñ se zamīñ kī taraf aate hue ham
ek majme ke liye sher sunāte hue ham
kis gumāñ meñ haiñ tire shahr ke bhaTke hue log
dekhne vaale palaT kar nahīñ jaate hue ham
kaisī jannat ke talabgār haiñ tū jāntā hai
terī likkhī huī duniyā ko miTāte hue ham
rail dekhī hai kabhī siine pe chalne vaalī
yaad to hoñge tujhe haath hilāte hue ham
toḌ Dāleñge kisī din ghane jañgal kā ġhurūr
lakḌiyāñ chunte hue aag jalāte hue ham
tum to sardī kī hasīñ dhuup kā chehra ho jise
dekhte rahte haiñ dīvār se jaate hue ham
ḳhud ko yaad aate hī be-sāḳhta hañs paḌte haiñ
kabhī ḳhat to kabhī tasvīr jalāte hue ham
Top Urdushayar.com