Nomaan Shauque

itni tazim hui shahr mein uryani ki

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
itnī tāzīm huī shahr meñ uryānī kī
raat āñkhoñ ne bhī jī bhar ke badan-ḳhvānī kī
naap saktā hai koī sard havā tere sivā
ye jo ḳhandaq hai mire chār-sū vīrānī kī
dil ko māzūl kiyā ishq se tū ne lekin
ḳhaak pe rah ke bhī sultān ne sultānī kī
sab uḌāte haiñ mirī sard-dimāġhī kā mazāq
yaanī duniyā ko zarūrat hai nigahbānī kī
phuul kaun aise khilātā hai mire chāroñ taraf
dhuup kī jin ko zarūrat na talab paanī kī
dabdaba baḌhtā gayā shahr meñ ḳhush-hālī kā
mil ga.ī daad mire dasht ko vīrānī kī
Top Urdushayar.com