kisī ke saa.e kisī kī taraf lapakte hue
nahā ke raushniyoñ meñ lage bahakte hue
ye rañg rañg ke paikar ye tez mausīqī
har ik badan pe ka.ī zaḳhm haiñ thirakte hue
bahut se log the raqsāñ magar alaav ke gird
kisī ko dekhā nahīñ is tarah damakte hue
ye haq-parastoñ kī bastī ujaḌ na jaa.e kahīñ
mujhe mile haiñ ka.ī ā.īne sisakte hue
ye kaun sāmne baiThā hai ḳhūb-rū aisā
malāl hone lage aañkh bhī jhapakte hue
ab aise ḳhauf ke saa.e meñ ḳhvāb dekheñ kyā
yahāñ to aañkh bhī Darne lagī jhapakte hue