Nomaan Shauque

bhare hue hain abhi raushni ki daulat se

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
bhare hue haiñ abhī raushnī kī daulat se
diye jalā.eñge ham bhī magar zarūrat se
bahut se ḳhvāb haqīqat meñ dil-navāz na the
bahut se log chale aa rahe haiñ jannat se
usī nigāh se phir tum ne mujh ko dekh liyā
badan utaar kar aayā thā kitnī mehnat se
yahī ki tū baḌā ḳhush-hāl hai ḳhudāvandā
zarā pata nahīñ chaltā jahāñ kī hālat se
chamakte chāñd sitāroñ ko dafn kar aa.e
bujhe charāġh ko rakkhā gayā hifāzat se
badan ke taaq meñ jalte haiñ bas badan ke diip
ye raushnī hai bahut kam mirī zarūrat se
phir is mazāq ko jamhūriyat kā naam diyā
hameñ Darāne lage vo hamārī tāqat se
Top Urdushayar.com