Nomaan Shauque

ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
ab aisī vaisī mohabbat ko kyā sambhālūñ maiñ
ye ḳhār-o-ḳhas kā badan phūñk hī na Dālūñ maiñ
gar ek dil se nahīñ bhartā mere yaar kā dil
to ik badan meñ bhalā kitne saañp pālūñ maiñ
na qabr kī hai jagah shahr meñ na masjid kī
batāo ruuh ke kāñTe kahāñ nikālūñ maiñ
sadāqatoñ pe burā vaqt aane vaalā hai
ab us ke kāñpte hāthoñ se ā.īna luuñ maiñ
ka.ī zamāne mirā intizār karte haiñ
zamīñ ruke to koī rāstā nikālūñ maiñ
maiñ aañkh khol ke chalne kī lat na chhoḌ sakā
nahīñ to ek na ik roz ḳhud ko pā luuñ maiñ
hazār zaḳhm mile haiñ magar nahīñ miltā
vo ek sañg jise aa.ina banā luuñ maiñ
suno maiñ hijr meñ qaa.el nahīñ huuñ rone kā
kaho to jashn ye apnī tarah manā luuñ maiñ
Top Urdushayar.com