Nomaan Shauque

sab fana hote hue shahr hain nigrani mein

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
sab fanā hote hue shahr haiñ nigrānī meñ
chāñd ban kar utar aao mirī tuġhyānī meñ
aa.e to hoñge bahut ḳhaak uḌāne vaale
maiñ izāfa huuñ tire dasht kī vīrānī meñ
kyā hai ā.īne se bāhar koī aatā hī nahīñ
log sab qaid hue jaate haiñ hairānī meñ
jis meñ ishq aur havas kā koī jhagḌā hī nahīñ
ek sahrā to hai aisā mirī sultānī meñ
sab dil-āvez tabassum pe hī mar miTte haiñ
jhāñktā kaun hai tasvīr kī vīrānī meñ
Top Urdushayar.com