ek aayat paḌh ke apne-āp par dam kar diyā
ham ne har chehre kī jānib dekhnā kam kar diyā
ehtirāman us ke qadmoñ meñ jhukā nādān maiñ
us ne merā qad hamesha ke liye kam kar diyā
mujh se auroñ kī judā.ī bhī sahī jaatī nahīñ
maiñ ne do bhīgī huī palkoñ ko bāham kar diyā
khil rahe haiñ mujh meñ duniyā ke sabhī nāyāb phuul
itnī sarkash ḳhaak ko kis abr ne nam kar diyā
kar rahe the ishq meñ suud o ziyāñ kā vo hisāb
un ke taḳhmīne ne merā dard bhī kam kar diyā
saath jitnī der rah luuñ kaun sā khultā hai vo
us ne dānista mire sheroñ ko mub.ham kar diyā