Nomaan Shauque

bataun kaise ki sach bolna zaruri hai

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
batā.ūñ kaise ki sach bolnā zarūrī hai
ta.alluqāt meñ ye tajraba zarūrī hai
nazar haTā bhī to saktī hai kam-nazar duniyā
vahīñ hai bhiiḌ jahāñ taḳhliya zarūrī hai
tire baġhair koī aur ishq ho kaise
ki mushrikoñ ke liye bhī ḳhudā zarūrī hai
nahīñ to shahr ye so jā.egā sadā ke liye
mujhe ḳhabar hai mirā bolnā zarūrī hai
kisī ko hotā nahīñ yuuñ mohabbatoñ kā yaqīñ
charāġh bujh ke batā.e havā zarūrī hai
maiñ ḳhud ko bhūltā jaatā huuñ aur aise meñ
tirā pukārte rahnā baḌā zarūrī hai
vo merī ruuh kī āvāz sun rahā hogā
badan rahe na rahe rābta zarūrī hai
Top Urdushayar.com