Nomaan Shauque

insaniyat ke zoam ne barbaad kar diya

Nomaan Shauque

Arrah, Bihar, India

1965
insāniyat ke zo.am ne barbād kar diyā
pinjre meñ aa ke sher ko āzād kar diyā
apne hī sūne-pan kā mudāvā na kar sake
kahne ko ham ne shahr ko ābād kar diyā
jī bhar ke qatl-e-ām kiyā pahle har taraf
phir us ne mamlikat ko ḳhudā-dād kar diyā
dil se koī ilāqa na thā duur duur tak
tesha thamā ke haath meñ farhād kar diyā
har muttaqī ko is se sabaq lenā chāhiye
jannat kī chaah ne jise shaddād kar diyā
hāthoñ meñ us kā haath liye sochte rahe
thā kaun jis ne ishq meñ barbād kar diyā
Top Urdushayar.com