Nasir Rao

aankh mein aansu nahin shabnam nahin kuchh gham nahin

Nasir Rao

1990
aañkh meñ aañsū nahīñ shabnam nahīñ kuchh ġham nahīñ
zaḳhm haiñ jin par koī marham nahīñ kuchh ġham nahīñ
dard vo de kar musalsal hālat-e-dil pūchhte haiñ
ye ināyat bhī to un kī kam nahīñ kuchh ġham nahīñ
raat kā pichhlā pahar hai aur ham ḳhāna-ba-dosh
koī dar-dīvār kā mātam nahīñ kuchh ġham nahīñ
har taraf haiñ ḳhuun se rañgīn kapḌe aur tan
ye hamāre shauq kā aalam nahīñ kuchh ġham nahīñ
sab Dare sahme hue se gum haiñ apne aap meñ
har koī shāmil hai is meñ ham nahīñ kuchh ġham nahīñ
Top Urdushayar.com