Tajvar Najibabadi

gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main

Tajvar Najibabadi

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1893-1951
ġham-e-mohabbat meñ dil ke dāġhoñ se rū-kash-e-lāla-zār huuñ maiñ
fazā bahārīñ hai jis ke jalvoñ se vo harīf-e-bahār huuñ maiñ
khaTak rahā huuñ har ik kī nazroñ meñ bach ke chaltī hai mujh se duniyā
zahe girāñ-bārī-e-mohabbat ki dosh-e-hastī pe baar huuñ maiñ
kahāñ hai tū vāda-e-vafā kar ke o mire bhuul jaane vaale
mujhe bachā le ki pā.emāl-e-qayāmat-e-intizār huuñ maiñ
tirī mohabbat meñ mere chehre se hai numāyāñ jalāl terā
huuñ tere jalvoñ meñ mahv aisā ki terā ā.īna-dār huuñ maiñ
vo husn-e-be-iltifāt ai 'tājvar' huā iltifāt-farmā
to zindagī ab sunā rahī hai ki umr-e-be-etibār huuñ maiñ
Top Urdushayar.com