chehre pe koī rañg shikāyat kā nahīñ thā
lekin vo tabassum hī mohabbat kā nahīñ thā
chhoḌā bhī mujhe aur bahut ḳhush bhī rahe ho
afsos ke maiñ aap kī aadat kā nahīñ thā
vaqtoñ ke siyāh rañg se zarroñ pe likhā hai
duniyā meñ koī daur sharāfat kā nahīñ thā
ab sar ko paTakne se koī faiz nahīñ hai
marne kā taqāza thā vo hijrat kā nahīñ thā
darbār bhī thā sāhab-e-kirdār bhī lekin
adnā sā koī jazb-e-saḳhāvat kā nahīñ thā