Nasir Rao

sanjida tabiat ki kahani nahin samjhe

Nasir Rao

1990
sanjīda tabī.at kī kahānī nahīñ samjhe
āñkho meñ rahe aur vo paanī nahīñ samjhe
ek sher huā yuuñ ki kaleje se lagā hai
dariyā meñ utar kar bhī ravānī nahīñ samjhe
kyā ḳhat meñ likhā jaa.e ki samjhā.e unheñ ham
jo sāmne rah kar bhī zabānī nahīñ samjhe
bachpan ko luTāyā hai javānī ke liye yaar
ham log javānī ko javānī nahīñ samjhe
pahle to kahā 'rāv' koī sher sunāo
phir dost mirī baat ke ma.anī nahīñ samjhe
Top Urdushayar.com