tanhā.iyoñ kī god meñ pal kar baḌā huā
bachpan se apne aap sambhal kar baḌā huā
ġhairoñ ko apnā maan ke jiitā rahā huuñ maiñ
is rāh-e-pul-sirāt pe chal kar baḌā huā
maiñ ne kabhī bhī raat se shikva nahīñ kiyā
har shab kisī charāġh sā jal kar baḌā huā
patthar se koī vāsta matlab na thā magar
har aa.ine kī aañkh meñ khal kar baḌā huā
maḳhmal kī chādaroñ kā mujhe kyā pata ki maiñ
kāñToñ ke bistaraoñ ko masal kar baḌā huā