koī payām-e-musalsal hai shor-e-dariyā bhī
tahī-suḳhan se nahīñ hai sukūt-e-sahrā bhī
fazā-e-dasht meñ ahl-e-junūñ ke hañgāme
hameñ to raas na aa.ī magar ye duniyā bhī
zamīn-e-tishna-dahan kī sadā to aa.ī thī
magar ye baat ki abr-e-bahār barsā bhī
ye bū-e-gul bhī pareshāñ bahut huī lekin
bahut huā mirī āvārgī kā charchā bhī
kiyā hai fat.h koī lamha-e-vafā jab se
mirī giraft meñ imroz bhī hai fardā bhī
abhī to tishna-labī ke surūr meñ gum haiñ
ham ahl-e-zarf kareñge kabhī taqāza bhī
jahāñ ko dekhne vaalī hazār āñkheñ haiñ
inhīñ meñ hogī kahīñ koī chashm-e-bīnā bhī
jo be-hunar haiñ vo shā.ista-e-gunāh nahīñ
gunāh karne meñ ik shart hai salīqa bhī
ajiib ālam-e-begāñgī meñ aa nikle
garāñ guzartī hai dil par tirī tamannā bhī
jo mil rahā thā ba-zāhir baḌe ḳhulūs ke saath
janāb-e-'lais' ne us aadmī ko samjhā bhī