Lais Quraishi

dil muzmahil hai teri nawazish ke bawajud

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
dil muzmahil hai terī navāzish ke bāvajūd
ye sarzamīñ udaas hai bārish ke bāvajūd
ḳhīra na kar sake nigah-e-imtiyāz ko
jhūTe nagīñ numūd-o-numā.ish ke bāvajūd
ek phuul bhī chaman meñ na dil khol kar hañsā
shabnam ke āñsuoñ kī guzārish ke bāvajūd
kyā qahr hai ki jhuuT meñ miltī hai āfiyat
sach bolnā muhāl hai ḳhvāhish ke bāvajūd
merā vaqār ziist na majrūh kar sake
dushman hazār hīla-o-sāzish ke bāvajūd
apnī ġhalat ravish ko na tabdīl kar sake
kuchh dost baar baar guzārish ke bāvajūd
barḳhud ġhalat kabhī na hue zindagī meñ 'lais'
duniyā-e-fan meñ dād-o-satā.ish ke bāvajūd
Top Urdushayar.com