Lais Quraishi

sukut-e-lab ko mere arz-e-haal hi samjho

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
sukūt-e-lab ko mire arz-e-hāl hī samjho
mirī anā-e-ḳhafī ko savāl hī samjho
vo rū-ba-rū haiñ mire dil magar ye kahtā hai
ḳhayāl-e-husn ko husn-e-ḳhayāl hī samjho
rafāqatoñ ke qarīne badalte rahte haiñ
so karb-e-hijr ko lutf-e-visāl hī samjho
taḌap rahe haiñ jo yuuñ ham sadā-e-sāz ke saath
use kuchh aur nahīñ vajd-o-hāl hī samjho
mire hunar ko rahā bazm-e-kam-nazar se gurez
use bhī mere hunar kā kamāl hī samjho
havā-e-sub.h-e-chaman aur ek baar agar
guzar ga.ī to hameñ pā.emāl hī samjho
diloñ ke zaḳhm chhupe haiñ lahū kī chādar meñ
tumheñ ġharaz nahīñ tum indimāl hī samjho
husūl-e-kaif ko mai-ḳhāna-e-hayāt meñ 'lais'
shikast-e-jām se pahle muhāl hī samjho
Top Urdushayar.com