terī jafā huī ki jahāñ kā ġhazab huā
ham par to jo sitam bhī huā be-sabab huā
is sā.at-e-sa.īd ko kyā naam dījiye
insāñ asīr-e-vaqt ke zindāñ meñ jab huā
sho.ala-sifat haiñ raqs meñ apne chaman ke phuul
is ālam-e-bahār meñ ye kyā ġhazab huā
shāyad yahī mazāq-e-talab kī hai intihā
duniyā-e-rañg-o-bū meñ bhī dil be-talab huā
munsif ko maslahat kī zabāñ raas aa ga.ī
go faisla huā magar insāf kab huā
us ko nasīb ho na sakā rishta-e-ḳhulūs
jo qā.il-e-qaziya-e-hasab-o-nasab huā
jaarī hai ek tīrgī-o-raushnī kī jañg
jab se shu.ūr-e-silsila-e-roz-o-shab huā
had-e-nigāh tak kahīñ sho.ale kahīñ dhuāñ
ye ḳhāk-o-ḳhūñ kā khel gulistāñ meñ kab huā
is hādse pe aap kā jo tabsira bhī ho
maiñ āshnā-e-mahfil-e-aish-o-tarab huā
kaise ho tum ko lazzat-e-āzād jāñ-nasīb
dushvār marhaloñ se guzarnā hī kab huā
kitne aziim log tah-e-ḳhāk ho ga.e
tū bhī huā jo 'lais' to phir kyā ajab huā