Lais Quraishi

kahin se bhi suKHan-e-moatabar nahin aata

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
kahīñ se bhī suḳhan-e-mo'atabar nahīñ aatā
nazar hameñ koī ahl-e-nazar nahīñ aatā
havā-e-dasht ye tāsīr-e-ḳhud-farāmoshī
bahut dinoñ se tasavvur meñ ghar nahīñ aatā
ajab shanāvar-e-bahr-e-vajūd haiñ ham bhī
hameñ zamān-o-makāñ kā safar nahīñ aatā
lahū se lafz kī taḳhlīq ham nahīñ karte
jabhī to apne bayāñ meñ asar nahīñ aatā
ye sochte haiñ ki manzil-rasī se kyā hāsil
jab apne saath koī ham-safar nahīñ aatā
ye arsa-gāh-e-talab qurbatoñ kī duniyā hai
yahāñ ham aisā koī be-hunar nahīñ aatā
darīche roz hī khulte haiñ band hote haiñ
magar vo chehra-e-rañgīñ nazar nahīñ aatā
hijāb kaun sā maan.e hai kuchh nahīñ ma.alūm
maiñ chāhtā huuñ vo aa.e magar nahīñ aatā
tilism-e-tīra-shabī 'lais' kis tarah TuuTe
koī bhī le ke payām-e-sahr nahīñ aatā
Top Urdushayar.com