Lais Quraishi

KHub andaz-e-pazirai hai

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
ḳhuub andāz-e-pazīrā.ī hai
izzat-e-nafs pe ban aa.ī hai
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ
merī in sab se shanāsā.ī hai
haath phailāyā hai apne aage
ye gadā.ī hai ki dārā.ī hai
dil ke ā.īne meñ ye tū hai ki maiñ
ek sūrat sī nazar aa.ī hai
tajraba ye hai ki har zulf-e-ḳhirad
dast-e-vahshat hī ne suljhā.ī hai
dil ko iflās kā ehsās nahīñ
kaisī daulat mire haath aa.ī hai
husn-e-mahsūs jise kahte haiñ
mere ehsās kī ra.anā.ī hai
ai bahār-e-lab-o-āriz ye batā
tū kisī ko kabhī raas aa.ī hai
vaqt hai dar-pa-e-āzār magar
'lais' ko zo.am-e-shakebā.ī hai
Top Urdushayar.com