ka.ī payām barā-e-sukūn-e-jāñ to mile
magar tamām huī apnī dāstāñ to mile
koī to samjhe mire karb kā lab-o-lahja
ye aarzū hai mujhe koī ham-zabāñ to mile
koī fazā koī mausam ho ham se ho mansūb
bahār agar nahīñ miltī hameñ ḳhizāñ to mile
maqām-e-shukr hai mere liye ki āḳhir-kār
mire harīfoñ meñ kuchh ahl-e-ḳhāndāñ to mile
huuñ ġham-nasīb to kyā ġham ki rāh-e-hastī meñ
talāsh-e-haq-o-sadāqat meñ ham-rahāñ to mile
yahī bahut hai ḳhizāñ ko ḳhizāñ jo kahte haiñ
kuchh aise phuul hameñ zeb-e-gulsitāñ to mile
shikasta-pā haiñ to kyā ham to sar ke bal jaa.eñ
magar ye baat koī mīr-e-kārvāñ to mile
hikāyat-e-dil-e-dard-āshnā sunā.ūñgā
tirī nazar se mujhe jur.at-e-bayāñ to mile
ye zindagī ke bayābāñ meñ dhuup kā sahrā
kahāñ qayām karūñ koī sā.ebāñ to mile
ye roz-o-shab bhī hamāre badal to sakte haiñ
kabhī zamīn se aa kar ye āsmāñ to mile
rihā hue haiñ magar 'lais' ye rihā.ī kyā
qafas se chhūTne vāloñ ko āshiyāñ to mile