Lais Quraishi

manazir-e-shab-e-rafta KHayal-o-KHwab hue

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
manāzir-e-shab-e-rafta ḳhayāl-o-ḳhvāb hue
vo ashk the ki sitāre sabhī ḳharāb hue
vo nā-ḳhudā ki ḳhudā.ī kā jin ko da.avā thā
safīne un kī himāqat se zer-e-āb hue
ham ahl-e-dard zamāne ke haath kyā aate
ki ham to apne liye bhī na dastiyāb hue
talāsh-e-jām-e-tarab meñ kahāñ kahāñ na ga.e
piye baġhair bhī ham to bahut ḳharāb hue
ham un ke aib ko kyā aur kyuuñ ayaañ karte
jo be-zamīr the vo ḳhud hī be-naqāb hue
fareb hī se navāzā hai un rafīqoñ ne
mirī janāb meñ aa kar jo bāryāb hue
tamām umr mazāq-e-junūñ jo rakhte the
rah-e-ḳhirad meñ vahī log kāmyāb hue
hamārā sabr hai be-intihā to hairat kyā
ki 'lais' ham pe sitam bhī to be-hisāb hue
Top Urdushayar.com