Lais Quraishi

zamir-o-zehan se ki hain baghawaten kya kya

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
zamīr-o-zehan se kī haiñ baġhāvateñ kyā kyā
munāfiqoñ se nibhā.īñ rifāqateñ kyā kyā
hayāt arsa-e-karb-o-balā meñ guzrī hai
tamām-umr huī haiñ shahādateñ kyā kyā
kisī se pyaar kisī se vafā kisī se ḳhulūs
bigaḌ ga.ī haiñ hamārī bhī ādateñ kyā kyā
ye jabr hai ki ġharaz se ġharaz badalte haiñ
hameñ aziiz thiiñ varna sharāfateñ kyā kyā
mizāj-e-vaqt ne chhīnā hai mujh se merā mizāj
guzartī rahtī haiñ dil par qayāmateñ kyā kyā
sabā pe harf na aa.e kiran kā dil na dukhe
shagufta gul ke liye haiñ nazākateñ kyā kyā
ye aur baat samajhne se ham haiñ qāsir 'lais'
jabīn-e-vaqt par dekhīñ ibārateñ kyā kyā
Top Urdushayar.com