itnī mushkil meñ bhī ahbāb na Dāleñ mujh ko
ki sambhalnā bhī na chāhūñ to sambhāleñ mujh ko
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ ek hue
Dar rahā huuñ ye kahīñ maar na Dāleñ mujh ko
munfarid merī tabī.at hai ye hālāt kahīñ
ravish-e-ām ke sāñche meñ na Dhāleñ mujh ko
maiñ to is par bhī huuñ raazī ki tire shahr ke log
mere bante nahīñ apnā hī banā leñ mujh ko
aap mujh se kisī ta.abīr kī phir baat kareñ
pahle is ḳhvāb-e-tamannā se jagā leñ mujh ko
nahīñ ma.alūm ki kal tak maiñ rahūñ yā na rahūñ
mehrbāñ aaj hī jī-bhar ke satā leñ mujh ko
gardishoñ ke liye ab tak na ye mumkin na huā
kisī sūrat mire mehvar se haTā leñ mujh ko
in bulandī ke makīnoñ ko mayassar hī nahīñ
'lais' vo haath jo pastī se uThā leñ mujh ko