Lais Quraishi

kisi guman kisi imkan ka ruKH nahin karti

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
kisī gumāñ kisī imkāñ kā ruḳh nahīñ kartī
nigāh jalva-e-arzāñ kā ruḳh nahīñ kartī
basī huī hai jo ābādiyoñ meñ barbādī
junūñ kī mauj bayābāñ kā ruḳh nahīñ kartī
sabā ko fasl-e-bahārāñ se kyā milā āḳhir
vo gul khile ki gulistāñ kā ruḳh nahīñ kartī
hisār-e-vaqt meñ apnā vajūd hai mahbūs
asīrī ab rah-e-zindāñ kā ruḳh nahīñ kartī
mire azīzoñ meñ rusvā mirī rifāqat hai
jabhī ye halqa-e-yārāñ kā ruḳh nahīñ kartī
fazā to nūr-e-sadāqat se jagmagātī hai
ye raushnī dil insāñ kā ruḳh nahīñ kartī
vo kuchh nahīñ koī farsūda sī rivāyat hai
vo fikr jo na.e unvāñ kā ruḳh nahīñ kartī
havā bhī kitnī zamāna-shanās hai ai 'lais'
har ek sehn-e-gulistāñ kā ruḳh nahīñ kartī
Top Urdushayar.com